tumhaari yaad ke dipak bhi ab jalana kya
juda hue hain to ahd-e-wafa nibhana kya
basit hone lagi shahr-e-jaan pe tariki
khula hua hai kahin par sharab-KHana kya
khaDe hue ho miyan gumbadon ke sae mein
sadaen de ke yahan par fareb khana kya
har ek samt yahan wahshaton ka maskan hai
junun ke waste sahra o aashiyana kya
wo chand aur kisi aasman pe raushan hai
siyah raat hai us ki gali mein jaana kya

Ghazal
Tumhaari yaad ke dipak bhi ab jalana kya
Azhar Iqbal