tumhaari rah mein miTTi ke ghar nahin aate
isi liye to tumhein hum nazar nahin aate
mohabbaton ke dinon ki yahi KHarabi hai
ye ruTh jaen to phir lauT kar nahin aate
jinhen saliqa hai tahzib-e-gham samajhne ka
unhin ke rone mein aansu nazar nahin aate
KHushi ki aankh mein aansu ki bhi jagah rakhna
bure zamane kabhi puchh kar nahin aate
bisat-e-ishq pe baDhna kise nahin aata
ye aur baat ki bachne ke ghar nahin aate
'wasim' zehn banate hain to wahi aKHbar
jo le ke ek bhi achchhi KHabar nahin aate
Ghazal
Tumhaari rah mein miTTi ke ghar nahin aate
Waseem Barelvi