tumhaari muntazir yun to hazaron ghar banati hun
wo rasta bante jate hain kuchh itne dar banati hun
jo sara din mere KHwabon ko reza reza karte hain
main un lamhon ko si kar raat ka bistar banati hun
hamare daur mein raqqasa ke panw nahin hote
adhure jism likhti hun KHamida sar banati hun
samundar aur sahil pyas ki zinda alamat hain
unhen main tishnagi ki had ko bhi chhu kar banati hun
main jazbon se taKHayyul ko nirali wusaten de kar
kabhi dharti bichhati hun kabhi ambar banati hun
mere jazbon ko ye lafzon ki bandish mar deti hai
kisi se kya kahun kya zat ke andar banati hun
Ghazal
Tumhaari muntazir yun to hazaron ghar banati hun
Sarwat Zehra