اردو हिंदी
Tumhaari KHushbu thi ham-safar to hamara lahja hi dusra tha | Shaahi Shayari
tumhaari KHushbu thi ham-safar to hamara lahja hi dusra tha

Ghazal

Tumhaari KHushbu thi ham-safar to hamara lahja hi dusra tha

Iqbal Ashhar

;

tumhaari KHushbu thi ham-safar to hamara lahja hi dusra tha
ye aks bhi aashna sa hai kuchh magar wo chehra hi dusra tha

wo adh-khuli khiDkiyon ka mausam guzar gaya to ye raaz jaana
idhar shanasai tak nahin thi udhar taqaza hi dusra tha

gulab khilte the chahaton ke charagh jalte the aahaTon ke
jahan barasti hain wahshaten ab kabhi wo rasta hi dusra tha

kabhi na kahta tha dil hamara ki aansuon ko likhen sitara
judaiyon ki kasak se pahle ye istiara hi dusra tha

udas lafzon ke raste mein ye raushni ki lakir kab thi
mohabbaton ke safar se pahle ghazal ka lahja hi dusra tha