tumhaari bazm mein mujh tak bhi jam aaya to
wufur-e-shauq ne koi maqam paya to
qadam qadam pe hamari hi aazmaish hai
agar tumhein kisi manzil pe aazmaya to
hum apni tab-e-nazar se bahut pasheman hain
phir ab ki bar hamein kuchh nazar na aaya to
dil-e-tabah se shayad koi kiran phuTi
harim-e-shauq ka har gosha jagmagaya to
tumhaare gham ko mata-e-hayat samjha hun
ba-ittifaq ye gham bhi na ras aaya to
mujhe satao baDe shauq se satao tum
mujhe sata ke bhi tum ne na chain paya to
Ghazal
Tumhaari bazm mein mujh tak bhi jam aaya to
Raees Niyazi

