tumhaare ishq mein hum nang-o-nam bhul gae
jahan mein kaam the jitne tamam bhul gae
namaziyon ne tujh abru ko dekh masjid mein
ba-samt-e-qibla sujud-o-qayam bhul gae
ye waza kya hai ki hote nahin ho dast-basar
abhi se apnon ka lena salam bhul gae
gae the zoam mein apne par us ko dekhte hi
jo dil ne hum se kahe the payam bhul gae
teri taraf hui surat-garan-e-chin ki nigah
qalam ko hath se rakh apna kaam bhul gae
butan-e-charb-zaban sun ke KHubi-e-guftar
adab mein dab gae husn-e-kalam bhul gae
teri ai sarw-e-rawan dekh kar anokhi chaal
jo KHush-KHiram the apna KHiram bhul gae
teri ye zulf-e-girah-gir dekh kar sayyaad
shikar aap hue said o dam bhul gae
baDa ghazab hai ki 'hatim' ko tum na pahchana
wahi qadim tumhaara ghulam bhul gae
Ghazal
Tumhaare ishq mein hum nang-o-nam bhul gae
Shaikh Zahuruddin Hatim