tumhaare gham ko gham-e-jaan bana liya main ne
ki jangalon ko gulon se saja diya main ne
na jaane kitni umiden lahu lahu kar ke
dil-e-tabah ko jina sikha diya main ne
sabab ho kuchh bhi unhen ruThne ki aadat hai
ye sochna hi ghalat hai ki kya kiya main ne
har ek baat mere haq mein thi magar phir bhi
jo faisla tha bahut soch kar kiya main ne
use na bhul saka hun na bhul paunga
ye tajraba to kai bar kar liya main ne
tere baghair meri pyas bujh nahin pai
hamesha yaad kiya tujh ko saqiya main ne
meri bhi KHamushi dekhi nahin gai un se
kisi ka zabt-e-suKHan aazma liya main ne
ilaj soz-e-darun ka na ho saka phir bhi
'sahar' ba-nam-e-dawa zahr bhi piya main ne

Ghazal
Tumhaare gham ko gham-e-jaan bana liya maine
Sahar Mahmood