tumhaare dil ki tarah ye zamin tang nahin
KHuda ka shukr ki panw mein apne lang nahin
ajib us se talluq hai kya kaha jae
kuchh aisi sulh nahin hai kuchh aisi jang nahin
koi batao ki is aaine ka mol hai kya
jis aaine pe nishan-e-ghubar-o-zang nahin
mera junun hai kotah ya ye shahr-e-tabah
jo zaKHm-e-sar ke liye yan talash-e-sang nahin
hain sare qafila-salar sab hain rah-numa
ye kya safar hai jo koi kisi ke sang nahin
jo kuchh mata-e-hunar ho to samne lao
ki ye zamana-e-izhaar-e-nasl-o-rang nahin
Ghazal
Tumhaare dil ki tarah ye zamin tang nahin
Akbar Ali Khan Arshi Zadah