tumhaare baad tumhi tum rahe ho aankhon mein
tumhaari to mere KHwabon talak rasai rahi
sab aas-pas the lekin nazar nahin aae
talluqat pe itni smog chhai rahi
teri KHudai ko hum dekh hi nahin pae
ki hum pe to tere bandon hi ki KHudai rahi
safar kaTe ki nahin naqsh-e-pa rahe lekin
KHayal-o-KHwab rahe rangat-e-hinai rahi
ye kaisa KHwab tha 'zishan' zindagi apni
ye kaisi dhun mere chaaron taraf samai rahi
Ghazal
Tumhaare baad tumhi tum rahe ho aankhon mein
Zeeshaan sajid