tumhaara nam le kar dar-ba-dar hota rahunga
ki barson dagh-e-dil ashkon se main dhota rahunga
tu KHushiyan hi sameT aur gham mujhe de de main hun na
tere hisse ki ghamgini ko main rota rahunga
jagaya muntazir aankhon ne barson ab ye socha
ki marne ka bahana kar ke main sota rahunga
mujhe bas ek lamha sochne do zindagi bhar
kise pane ki KHatir main kise khota rahunga
mere shane thake haare hain 'azar' sochta hun
kahan tak apne sar ka bojh main Dhota rahunga
Ghazal
Tumhaara nam le kar dar-ba-dar hota rahunga
Rashid Aazar

