tum se jaana ki ek kitab hun main
harf-dar-harf la-jawab hun main
hasrat-e-mausam-e-gulab hun main
sach na ho paega wo KHwab hun main
aap ne e'tibar hi na kiya
mein to kahti rahi sarab hun main
mujh se apni nami na sukh saki
aap kahte hain aaftab hun main
ho ke maujud bhi nahin dikhta
wo amawas ka mahtab hun main
us se milte nahin usul 'sahar'
chahti jis ko be-hisab hun main
Ghazal
Tum se jaana ki ek kitab hun main
Neena Sahar