tum se ab kaamyab aur hi hai
aah hum par azab aur hi hai
us ko aaina kab pahunchta hai
husn ki aab-o-tab aur hi hai
rind waiz se kyun ki sarbar ho
us ki chhu, ki kitab aur hi hai
hijr bhi kam nahin hai dozaKH se
is safar ka azab aur hi hai
us ko lagti hai kab koi talwar
tegh-e-abru ki aab aur hi hai
yun to hai surKH yar ka chehra
par piye jab sharab aur hi hai
mujh ko is nind se nahin aaram
mujh ko rahat ka KHwab aur hi hai
bahs-e-ilmi se kab hain ye qail
jahilon ka jawab aur hi hai
yaad mein teri zulf-o-kakul ki
dil ke tain pech-o-tab aur hi hai
us sitamgar ka mujh pe har saat
jaur-o-zulm-o-azab aur hi hai
kis tarah se guhar kahun 'taban'
us ke dandan mein aab aur hi hai
Ghazal
Tum se ab kaamyab aur hi hai
Taban Abdul Hai