tum ne likkha hai likho kaisa hun main
doston ki bhiD hai tanha hun main
yasmin o nastaran mera pata
KHushbuon ke jism par likha hun main
pahle hi kya kam tamashe the yahan
phir nae manzar uTha laya hun main
phir wahi mausam purane ho gae
din Dhale sargoshiyan sunta hun main
kaun utarti chaDhti sanson ka amin
saya-e-diwar se lipTa hun main
tu kabhi is shahr se ho kar guzar
raston ke jal mein uljha hun main
wo meri KHush-fahmiyan sab kya huin
jaane kab se be-hunar zinda hun main
Ghazal
Tumne likkha hai likho kaisa hun main
Aashufta Changezi