tum mil gae to koi gila ab nahin raha
main apni zindagi se KHafa ab nahin raha
pahle meri nigah mein duniya haqir thi
main apne sathiyon se juda ab nahin raha
ab bhi usi daraKHt ke niche milenge hum
saya agarche us ka ghana ab nahin raha
tere qadam ne jaan kahani mein Dal di
qissa hamara be-sar-o-pa ab nahin raha
ab meri apne aaKHiri dushman se jang hai
maidan mein koi mere siwa ab nahin raha
hum ko usi dayar ki miTTi hui aziz
naqshe mein jis ka nam-pata ab nahin raha
Ghazal
Tum mil gae to koi gila ab nahin raha
Midhat-ul-Akhtar