tum kisi taur kisi shakl nahin kar sakte
is zamin se mujhe be-daKHl nahin kar sakte
Thik hai aap meri jaan to le sakte hain
meri aawaz magar qatl nahin kar sakte
tujh ko nuqsan to pahunchana bahut dur ki baat
teri taswir ko bad-shakl nahin kar sakte
sher kahne ka saliqa hai bahut baad ki baat
Thik se hum to abhi naql nahin kar sakte
aise haalat mein hum dil ko talab karte hain
faisla rakh ke jahan aql nahin kar sakte

Ghazal
Tum kisi taur kisi shakl nahin kar sakte
Raziq Ansari