tum KHwab mein aaoge ye malum nahin tha
phir KHwab dikhaoge ye malum nahin tha
tum kabe ko Dhaoge ye malum nahin tha
dil toD ke jaoge ye malum nahin tha
jis KHat mein tanke the mere ashkon ke sitare
wo KHat bhi jalaoge ye malum nahin tha
kuchh aks mere aaina-KHane se chura kar
mujh ko hi dikhaoge ye malum nahin tha
qad mera ghaTaoge mujhe is ki KHabar thi
sae ko baDhaoge ye malum nahin tha
ye to mujhe malum tha tum jaoge lekin
is tarah se jaoge ye malum nahin tha
ek lamhe ki aawara-nigahi ke sahaare
dil mein utar aaoge ye malum nahin tha
tum holi bhi kheloge mere dil ke lahu se
daman bhi bachaoge ye malum nahin tha
hairat mein hain ahbab ki is umr mein qaisar
yun dhum machaoge ye malum nahin tha

Ghazal
Tum KHwab mein aaoge ye malum nahin tha
Qaisar Siddiqi