tum KHunuk jazba ho be-tabi-e-fan kya jaano?
kya guzarti hai dam-e-fikr-e-suKHan kya jaano?
KHun hai dil mein tumhaare abhi afsurda-KHiram
surKH kyun hote hain ruKHsar-e-chaman kya jaano?
main hun kitne qad-o-gesu ke jahan ka meamar
sargiran mujh se hain kyun dar-o-rasan kya jaano?
tum to karte ho meri klik-e-suKHan ko paband
kaun hai katib-e-taqdir-e-watan kya jaano?
main ki hun KHak-nashin dushman-e-jam-e-KHusraw
main hi pita hun mai-e-taKHt-fagan kya jaano?
tum ko hai naz ki jakDe hue ho waqt ke panw
kyun badalta hai zamane ka chalan kya jaano?
tum samajhte hi nahin ahl-e-gulistan ki zaban
mujh se kya kahte hain ye sarw-o-saman kya jaano?
tum to ho bais-e-afsurdagi-e-haal-e-hunar
main hun tabani-e-mustaqbil-e-fan kya jaano?
jin ko tum dete ho shorida-sari ka ilzam
hain wahi KHak-basar taj-shikan kya jaano?
Ghazal
Tum KHunuk jazba ho be-tabi-e-fan kya jaano?
Parvez Shahidi