tum intizar ke lamhe shumar mat karna
diye jalae na rakhna singar mat karna
meri zaban ke mausam badalte rahte hain
main aadmi hun mera e'tibar mat karna
kiran se bhi hai ziyaada zara meri raftar
nahin hai aankh se mumkin shikar mat karna
tumhein KHabar hai ki taqat mera wasila hai
tum apne aap ko be-iKHtiyar mat karna
tumhaare sath mere muKHtalif marasim hain
meri wafa pe kabhi inhisar mat karna
tumhein bataun ye duniya gharaz ki duniya hai
KHulus dil mein agar hai to pyar mat karna
milenge rah mein 'asim' ko ham-safar kai aur
wo aa raha hai magar intizar mat karna
Ghazal
Tum intizar ke lamhe shumar mat karna
Asim Wasti