tum ghalat samjhe hamein aur pareshani hai
ye to aasani hai jo be-sar-o-samani hai
KHwahish-e-did sar-e-wasl jo nikli nahin thi
lamha-e-hijr mein tajrid ki uryani hai
kyun bhala bojh uThaun main tere KHwabon ka
mere aaine mein kya kam koi hairani hai
ek muddat se jo baiThi hai meri palkon par
KHana-e-dil mein wo surat abhi an-jaani hai
Dub jata hai sar-e-sham hamara dil bhi
ye bhi suraj ki tarah raat ka zindani hai
KHud ko hum bech ke ek KHwab to le pae nahin
tere bazar mein kis chiz ki arzani hai
kis bharose pe main Takraun hawa se 'sajjad'
gar bikharta hun to atraf mein sab pani hai

Ghazal
Tum ghalat samjhe hamein aur pareshani hai
Sajjad Baluch