tum dariya sa ashk bahao to jaanen
kya guzri hai baat batao to jaanen
dada ki pahchan batana aasan hai
apne dam par nam kamao to jaanen
basti mein tum KHub siyasat karte ho
basti ki aawaz uThao to jaanen
bachchon jaisa ashk baha kar aae ho
tum aashiq ho dard chhupao to jaanen
jism saja kar baiTh gae ho kya samjhun
palkon par kuchh KHwab sajao to jaanen
thoDa pi kar taj uThate phirte ho
mai-KHanon mein raat batao to jaanen
kyun kya kaise 'faiz' yahi to karta hai
tum shair ho sher sunao to jaanen
Ghazal
Tum dariya sa ashk bahao to jaanen
faiz jaunpuri