tum aur fareb khao bayan-e-raqib se
tum se to kam gila hai ziyaada nasib se
goya tumhaari yaad hi mera ilaj hai
hota hai pahron zikr tumhaara tabib se
barbaad dil ka aaKHiri sarmaya thi umid
wo bhi to tum ne chhin liya mujh gharib se
dhundla chali nigah dam-e-wapsin hai ab
aa pas aa ke dekh lun tujh ko qarib se
Ghazal
Tum aur fareb khao bayan-e-raqib se
Agha Hashr Kashmiri