tum ai rais! ab na agar aur magar karo
kuchh der apne sath bhi pyare! basar karo
mumkin hai zat ka usi lamhe mein ho zuhur
ek lamha kaenat se qat-e-nazar karo
tayyara-ha-e-ahd-e-rawan hain sada-shigaf
misl-e-shua-e-nur KHala mein safar karo
kab tak muamla ye dimaghon se shahd ka?
tasir-e-zahr ban ke dilon mein guzar karo
kab tak KHud apne dil mein chubhooge barchhiyan
nok-e-sinan se gumbad-e-be-dar mein dar karo
milta nahin makan jo sharifon ke shahr mein
uTTho tawaifon ke gharane mein ghar karo
Ghazal
Tum ai rais! ab na agar aur magar karo
Rais Amrohvi

