tum achchhe the tum ko ruswa hum ne kiya
phir kahna, kya tum ne kaha, kya hum ne kiya
aansu sare palkon hi mein jazb hue
dariya ko taswir-e-dariya hum ne kiya
ai mere dil tanha dil chup chup rahna
pahle bhi to shor kiya, kya hum ne kiya
naqsh-garo! kab hum ne manzar badla hai
chandi baal aur chehra sona hum ne kiya
aansu ne dil ka har dagh miTa Dala
pani se phir naqsh huwaida hum ne kiya
KHak jo sahra sahra uDti phirti thi
sar mein Dali, ek tamasha hum ne kiya
baad apne ab kaun bhala yan aaega
apne nam pe KHatm ye KHutba hum ne kiya

Ghazal
Tum achchhe the tumko ruswa humne kiya
Tauseef Tabassum