tum aae ho na shab-e-intizar guzri hai
talash mein hai sahar bar bar guzri hai
junun mein jitni bhi guzri ba-kar guzri hai
agarche dil pe KHarabi hazar guzri hai
hui hai hazrat-e-naseh se guftugu jis shab
wo shab zarur sar-e-ku-e-yar guzri hai
wo baat sare fasane mein jis ka zikr na tha
wo baat un ko bahut na-gawar guzri hai
na gul khile hain na un se mile na mai pi hai
ajib rang mein ab ke bahaar guzri hai
chaman pe ghaarat-e-gul-chin se jaane kya guzri
qafas se aaj saba be-qarar guzri hai

Ghazal
Tum aae ho na shab-e-intizar guzri hai
Faiz Ahmad Faiz