tum aa gae ho jab se khaTakne lagi hai sham
saghar ki tarah roz chhalakne lagi hai sham
shayad kisi ki yaad ka mausam phir aa gaya
pahlu mein dil ki tarah dhaDakne lagi hai sham
kuchh tu hi apne KHun-e-ramida ki le KHabar
palkon pe qatra qatra Tapakne lagi hai sham
sahra-e-pur-sukut mein kuchh aahuon ke sath
phir kis ki aarzu mein bhaTakne lagi hai sham
kya jaane aaj kyun kisi mazdur ki tarah
suraj ghurub hote hi thakne lagi hai sham
kuchh aur aaina mein sanwarne lage hain wo
jis din se un pe jaan chhiDakne lagi hai sham
'dauran' suna hai surat-e-gesu-e-ambarin
imsal phir chaman mein mahakne lagi hai sham
Ghazal
Tum aa gae ho jab se khaTakne lagi hai sham
Owais Ahmad Dauran