Tuk to KHamosh rakho munh mein zaban sunte ho
apni hi kahte ho meri bhi miyan sunte ho
sang ko aab karen pal mein hamari baaten
lekin afsos yahi hai ki kahan sunte ho
KHushk o tar phunkti phirti hai sada aatish-e-ishq
bachiyo is aanch se ai pir o jawan sunte ho
dam-qadam tak thi hamare hi junun ki raunaq
ab bhi kuchon mein kahin shor-o-fughan sunte ho
main kaha KHalq tumhaari jo kamar kahti hai
tum bhi is ka kahin kuchh zikr-o-bayan sunte ho
hans ke yun kahne laga KHair agar hai ye baat
huegi waisi hi jaisi ki wahan sunte ho
hazrat-e-'dard' ki KHidmat mein jab aa 'qaem' ne
arz ki ye ki ai ustad-e-zaman sunte ho
amr howe to 'hidayat' ko karun main sidha
wan se irshad hua ye ki miyan sunte ho
rast hote hain kisi se bhi kabhu kaj-tinat
tir banti hai kahin shaKH-e-kaman sunte ho
Ghazal
Tuk to KHamosh rakho munh mein zaban sunte ho
Qayem Chandpuri