اردو हिंदी
Tujhe yaad kya nahin hai mere dil ka wo zamana | Shaahi Shayari
tujhe yaad kya nahin hai mere dil ka wo zamana

Ghazal

Tujhe yaad kya nahin hai mere dil ka wo zamana

Allama Iqbal

;

tujhe yaad kya nahin hai mere dil ka wo zamana
wo adab-gah-e-mohabbat wo nigah ka taziyana

ye butan-e-asr-e-hazir ki bane hain madrase mein
na ada-e-kafirana na tarash-e-azrana

nahin is khuli faza mein koi gosha-e-faraghat
ye jahan ajab jahan hai na qafas na aashiyana

rag-e-tak muntazir hai teri barish-e-karam ki
ki ajam ke mai-kadon mein na rahi mai-e-mughana

mere ham-safir ise bhi asar-e-bahaar samjhe
unhen kya KHabar ki kya hai ye nawa-e-ashiqana

mere KHak o KHun se tu ne ye jahan kiya hai paida
sila-e-shahid kya hai tab-o-tab-e-jawedana

teri banda-parwari se mere din guzar rahe hain
na gila hai doston ka na shikayat-e-zamana