اردو हिंदी
Tujhe gar pas-e-ghairat ai sitamgar ho nahin sakta | Shaahi Shayari
tujhe gar pas-e-ghairat ai sitamgar ho nahin sakta

Ghazal

Tujhe gar pas-e-ghairat ai sitamgar ho nahin sakta

Jitendra Mohan Sinha Rahbar

;

tujhe gar pas-e-ghairat ai sitamgar ho nahin sakta
to dil bhi shaki-e-tazir-e-KHanjar ho nahin sakta

main tark-e-baada-noshi ke liye muddat se koshan hun
magar ye kaam pura qabl-e-mahshar ho nahin sakta

bula kar baat puchhen ru-ba-ru apne to ro dena
dalael ka asar kuchh is se behtar ho nahin sakta

shikayat tujh se kya saqi ki hai taKHir ka aadi
sitam duniya mein lekin is se baDh kar ho nahin sakta

sukun-o-zabt ki to ham-nashin main intiha kar dun
magar mujh ko wo yusuf ab mayassar ho nahin sakta

pilae ja ki main madhosh ho jaun to tu mane
ki mai-noshi mein koi mujh se baDh kar ho nahin sakta

suKHan-sazi mein lazim hai kamal-e-ilm-o-fan hona
mahz tuk-bandiyon se koi shaer ho nahin sakta

hunar-mandon ki har majlis se ye aawaz aati hai
ki nadan ka koi duniya mein 'rahbar' ho nahin sakta