tujhe dekha meri aankhon mein jab shadabiyan aain
teri be-mehr aankhon mein tabhi be-zariyan aain
na jaane aur kya kya kah rahi thi wadiyan mujh se
tera jab zikr chheDa tha ajab KHamoshiyan aain
hisar-e-yas ki jaanib sadaen aa rahi garche
mahz chehre nahin aae kai parchhaiyan aain
hamein shohrat bulandi tak agar le ke chali aai
magar sae tale is ke kai nakaamiyan aain
nahin hai ishq pahla sa na pahli si kashish baqi
magar ab sath jine ki kai majburiyan aain

Ghazal
Tujhe dekha meri aankhon mein jab shadabiyan aain
Monika Singh