tujh tak guzar kisi ka ai gul-badan na dekha
baad-e-saba ne ab tak tera chaman na dekha
maila ho rang us ka gar chandni mein nikle
chashm-e-falak ne aisa nazuk-badan na dekha
uryan na wo nahaya hammam ho ki dariya
chashm-e-hubab ne bhi us ka badan na dekha
milti hai mere dil ko qatil ki KHush-KHirami
dekha zamana lekin aisa chalan na dekha
sau sau kiye bahane jab roz-e-wada aaya
ai hila-saz tujh sa paiman-shikan na dekha
qisse sune hazaron taswiren dekhin lakhon
saj-dhaj suni na aisi ye bankpan na dekha
Ghazal
Tujh tak guzar kisi ka ai gul-badan na dekha
Shuoor Balgirami