اردو हिंदी
Tujhse sab kuchh kah ke bhi kuchh an-kahi rah jaegi | Shaahi Shayari
tujhse sab kuchh kah ke bhi kuchh an-kahi rah jaegi

Ghazal

Tujhse sab kuchh kah ke bhi kuchh an-kahi rah jaegi

Khalid Suhail

;

tujh se sab kuchh kah ke bhi kuchh an-kahi rah jaegi
guftugu itni baDhegi kuchh kami rah jaegi

apne lafzon ke sabhi tohfe tujhe dene ke baad
aaKHiri saughat meri KHamushi rah jaegi

kashtiyan mazbut sab bah jaengi sailab mein
kaghzi ek naw meri zat ki rah jaegi

hirs ke tufan mein Dhah jaenge sare mahal
shahr mein darwesh ki ek jhonpaDi rah jaegi

chhoD kar mujh ko chale jaenge sare aashna
subh-dam bas ek laDki ajnabi rah jaegi

raat bhar jalta raha hun main 'suhail' is aas mein
main to bujh jaunga lekin raushni rah jaegi