tujh se milunga phir kabhi KHwab-o-KHayal bhi nahin
chehre pe in dinon magar gard-e-malal bhi nahin
aaina-e-sifat mein zat ka aks kya mile
us ki talash ho kahan jis ki misal bhi nahin
tere sitam ki guftugu tere karam ki justuju
subh-e-firaq bhi nahin sham-e-visal bhi nahin
mujh ko talab se kya mila dard-o-sarab aagahi
meri nazar mein mo'tabar shahr-e-jamal bhi nahin
wo bhi the din ki aaina ban ke wo samne rahe
ye bhi hai ab ki KHwahish-e-pursish-e-haal bhi nahin
Ghazal
Tujhse milunga phir kabhi KHwab-o-KHayal bhi nahin
Nasir Zaidi