اردو हिंदी
Tujhse hi kya wafa ki nahin KHush-nigah chashm | Shaahi Shayari
tujhse hi kya wafa ki nahin KHush-nigah chashm

Ghazal

Tujhse hi kya wafa ki nahin KHush-nigah chashm

Joshish Azimabadi

;

tujh se hi kya wafa ki nahin KHush-nigah chashm
jitne safed-posh hain sab hain siyah-chashm

us mehr-wash ke hone na de girya ru-ba-ru
jab tak safed howe na manind-e-mah chashm

andher hai dayar-e-mohabbat mein ham-daman
taqsir dil ki Thahre kare jo gunah chashm

donon makan ghair se KHali hain aa ke baiTh
tere pasand KHwah ye dil aae KHwah chashm

us ki shab-e-firaq mein itna tu ro ki ho
dariya-e-ashk mein teri kashti tabah chashm

mujh ko jala ke KHak kya aur baha diya
tum se to ye na thi mujhe ai ashk-o-ah chashm

'joshish' wo kaun sa hai jafa-kar jis par aaj
munh par lahu male hue hai dad-KHwah chashm