tujh se daman-kashan nahin hun main
ai zamin aasman nahin hun main
karwan mere baad aaega
gard hun karwan nahin hun main
phail sakta hun chha nahin sakta
raushni hun dhuan nahin hun main
naz hai mujh pe mere sane ko
zahmat-e-raegan nahin hun main
juzw hun ek jawedan kul ka
han agar jawedan nahin hun main
apni taqdir par yaqin nahin
aap se bad-guman nahin hun main
dar-o-bast-e-chaman ko kya jaanun
phul hun baghban nahin hun main
zindagi par bahaar hai mujh se
zindagi ki KHizan nahin hun main
ya nigah-e-talab hun ya jalwa
parda-e-darmiyan nahin hun main
sochne dijiye maal-e-wafa
aap se sargiran nahin hun main
maut se chheD-chhaD jari hai
zist ka nauha-KHwan nahin hun main
aashiyan kya banaun gulshan mein
qabil-e-ashiyan nahin hun main
ai gham-e-sabr-azma sun le
qabil-e-imtihan nahin hun main
yusufon ka hai karwan mere sath
yusuf-e-karwan nahin hun main
main 'saba' aah bhi nahin karta
aashna-e-fughan nahin hun main

Ghazal
Tujhse daman-kashan nahin hun main
Saba Akbarabadi