tujh se bichhaD kar kya hun main ab bahar aa kar dekh
himmat hai to meri haalat aankh mila kar dekh
sham hai gahri tez hawa hai sar pe khaDi hai raat
rasta gae musafir ka ab diya jala kar dekh
darwaze ke pas aa aa kar wapas muDti chap
kaun hai is sunsan gali mein pas bula kar dekh
shayad koi dekhne wala ho jae hairan
kamre ki diwaron par koi naqsh bana kar dekh
tu bhi 'munir' ab bhare jahan mein mil kar rahna sikh
bahar se to dekh liya ab andar ja kar dekh
Ghazal
Tujhse bichhaD kar kya hun main ab bahar aa kar dekh
Muneer Niyazi