tujh pe khul jae ki kya mehr ko shabnam se mila
aankh ai husn-e-jahan-tab zara hum se mila
wo masarrat jise kahte hain nashat-e-abadi
us masarrat ka KHazana bhi tere dam se mila
wahdat-e-surat-o-mani ko samajh ai waiz
husn-e-yazdan ka tasawwur ruKH-e-adam se mila
ahl-e-wahshat se ye tazin-e-jahan kya hoti
ye saliqa bhi tere gesu-e-barham se mila
ham-nashin soz-e-gham-e-dil kahin mahdud nahin
kabhi sholon se mila hai kabhi shabnam se mila
laDkhaDana bhi hai takmil-e-safar ki tamhid
hum ko manzil ka nishan laghzish-e-paiham se mila
waza-dari ise kahiye ki haram mein bhi 'rawish'
KHud hi baDh kar kisi ghaarat-gar-e-alam se mila

Ghazal
Tujh pe khul jae ki kya mehr ko shabnam se mila
Ravish Siddiqi