tujh pe jaan dene ko tayyar koi to hoga
zindagi tera talabgar koi to hoga
taKHta-e-dar pe chahe jise laTka dije
itne logon mein gunahgar koi to hoga
koi diwana to lalkarega aati rut ko
waqia phir sar-e-bazar koi to hoga
koi to raat ko dekhega jawan hote hue
is bhare shahr mein bedar koi to hoga
dil ke andar bhi to maujud hai duniya ka zamir
aap se bar-sar-e-paikar koi to hoga
sham ko roz nahata hai lahu mein suraj
nahin khulta magar asrar koi to hoga
main yahi soch ke jangal se nikal aaya tha
shahr mein saya-e-diwar koi to hoga
KHushk miTTi se bhi KHushbu teri aati hogi
miT chuka ghar magar aasar koi to hoga
kyun khinche jate hain roz us ki taraf hum 'shahzad'
us ki jaanib se bhi israr koi to hoga
Ghazal
Tujh pe jaan dene ko tayyar koi to hoga
Shahzad Ahmad