tujh ko socha to pata ho gaya ruswai ko
main ne mahfuz samajh rakkha tha tanhai ko
jism ki chah lakiron se ada karta hai
KHak samjhega musawwir teri angDai ko
apni dariyai pe itra na bahut ai dariya
ek qatra hi bahut hai teri ruswai ko
chahe jitna bhi bigaD jae zamane ka chalan
jhuT se haarte dekha nahin sachchai ko
sath maujon ke sabhi hon jahan bahne wale
kaun samjhega samundar teri gahrai ko
apni tanhai bhi kuchh kam na thi masruf 'wasim'
is liye chhoD diya anjuman-arai ko
Ghazal
Tujhko socha to pata ho gaya ruswai ko
Waseem Barelvi