tujh ko pane ke liye KHud se guzar tak jaun
aisi jine ki tamanna hai ki mar tak jaun
ab na shishon pe girun aur na shajar tak jaun
main hun patthar to kisi dast-e-hunar tak jaun
ek dhundlaka hun zara der mein chhaT jaunga
main koi raat nahin hun jo sahar tak jaun
jis ke qadmon ke qasidon se hi fursat na mile
kaise us shaKHs ki tazim-e-nazar tak jaun
ghar ne sahra mein mujhe chhoD diya tha la kar
ab ho sahra ki ijazat to main ghar tak jaun
apne mazlum labon par jo wo rakh le mujh ko
aah ban kar main duaon ke asar tak jaun
ai meri rah koi rah dikha de mujh ko
dhup oDhun ki tah-e-shaKH-e-shajar tak jaun
Ghazal
Tujhko pane ke liye KHud se guzar tak jaun
Saleem Siddiqui