اردو हिंदी
Tujhko malum nahin kya hai teri yaadon se | Shaahi Shayari
tujhko malum nahin kya hai teri yaadon se

Ghazal

Tujhko malum nahin kya hai teri yaadon se

Amit Sharma Meet

;

tujh ko malum nahin kya hai teri yaadon se
ek anjaan sa rishta hai teri yaadon se

raat bechain si sardi mein ThiThurti hai bahut
din bhi har rose sulagta hai teri yaadon se

hijr ke gham ne mujhe mar diya tha to kya
mar ke jina bhi to sikha hai teri yaadon se

aaj phir se jo hua qaid to ye sochun hun
kal hi socha tha ki bachna hai teri yaadon se

aise shamil tha main tujh mein ki baDi mushkil se
main ne ab KHud ko nikala hai teri yaadon se

kya bataen ki yahan kaise guzari hum ne
apni har sans ko sincha hai teri yaadon se

'mit' yaadon ne bhi kitna hai sataya mujh ko
mera takiya baDa bhiga hai teri yaadon se