اردو हिंदी
Tujhko likhna hai to aisa koi safha likh de | Shaahi Shayari
tujhko likhna hai to aisa koi safha likh de

Ghazal

Tujhko likhna hai to aisa koi safha likh de

Nazeer Qaisar

;

tujh ko likhna hai to aisa koi safha likh de
jagte lafzon mein KHwabon ka sarapa likh de

pahle jo shakl nahin dekhi thi wo samne la
pahle jo nam kitabon mein nahin tha likh de

gumbad-e-shab mein mah-o-najm sajaane wale
un gali kuchon ki qismat mein daricha likh de

in likhe lafzon mein likh muzhda nae mausam ka
kahin mahtab kahin gul kahin chehra likh de

zard shaKHon mein nai konplen likhne wale
peD se TuTte patton ka bhi nauha likh de

yun bhi tartib de qissa kabhi fasl-e-gul ka
bagh mein shama jala taq mein sabza likh de

khinch de KHat nai subhon ke ufuq-ta-ba-ufuq
KHak-tiro ke muqaddar mein ujala likh de

khol de aankhon pe darwaza-e-hairat 'qaisar'
harf-e-pinhan ke maani sar-e-parda likh de