tujh ko ab koi shikayat to nahin
ye magar tark-e-mohabbat to nahin
meri aankhon mein utarne wale
Dub jaana teri aadat to nahin
tujh se begane ka gham hai warna
mujh ko KHud apni zarurat to nahin
khul ke ro lun to zara ji sambhle
muskurana hi masarrat to nahin
tujh se farhad ka tesha na uTha
is junun par mujhe hairat to nahin
phir se kah de ki teri manzil-e-shauq
mera dil hai meri surat to nahin
teri pahchan ke lakhon andaz
sar jhukana hi ibaadat to nahin
Ghazal
Tujhko ab koi shikayat to nahin
Parveen Fana Syed