tujh ishq ke mariz ki tadbir shart hai
lekin shifa ko gardish-e-taqdir shart hai
saudai dil ko zulf-e-girah-gir shart hai
diwane ke ilaj mein zanjir shart hai
nale to mein bahut kiye us but ke samne
patthar ke narm karne ko tasir shart hai
ho KHak rah-e-ishq mein ta-qadr ho teri
mis ke tila banane ko iksir shart hai
kafi hai ek ishaara-e-abru tera hamein
kuchh aashiqon ke qatl ko shamshir shart hai
dil ki shikast-o-reKHt ki mere to le KHabar
har ghar ki der-pai ko tamir shart hai
karta hai kis gunah pe uqubat hamein tu yar
tazir ke to waste taqsir shart hai
'sauda' main is chaman mein hun jun ghuncha dil-giraft
matam-sara mein surat-e-dil-gir shart hai
Ghazal
Tujh ishq ke mariz ki tadbir shart hai
Sauda Mohammad Rafi