tujh bewafa ki aah koi chah kya kare
dil tujh ko de ke tu hi bata aah kya kare
jis dil-jale ki tujh se lage shama-san lagan
sar se wo guzre aur tu wallah kya kare
zari fughan o nala sabhi be-asar hain aah
is sang-dil ke dil mein koi rah kya kare
is mah-e-kucha-gard ke tain DhunDhta hua
har shab gali gali na phire aah kya kare
yaqub ki tarah to bahut roe dekhiye
ai yusuf-e-zamana teri chah kya kare
jate hain su-e-dair rah-e-kaba chhoD kar
haq mein hamare dekhiye allah kya kare
koi DhunDhta katan ke tain yaro par hai gham
milta kahin nahin dil-e-agah kya kare
ki dil ne dil-baran-e-jahan ki bahut talash
koi dil-ruba mila hai na dil-KHwah kya kare
is ku-e-zulf mein ai 'jahandar' ja phansa
dil kis tarah se gum na kare rah kya kare
Ghazal
Tujh bewafa ki aah koi chah kya kare
Meerza Jawan Bakht Jahandar