toD di us ne wo zanjir hi dildari ki
aur tashhir karo apni giraftari ki
hum to sahra hue jate the ki us ne aa kar
shahr aabaad kiya nahr-e-saba jari ki
hum bhi kya shai hain tabiat mili sayyara-shikar
aur taqdir mili aahu-e-tatari ki
itna sada hai mera maya-e-KHubi ki mujhe
kabhi aadat na rahi aaina-bardari ki
mere gum-gashta ghazalon ka pata puchhta hai
fikr rakhta hai masiha meri bimari ki
us ke lahje mein koi chiz to shamil thi ki aaj
dil pe is harf-e-inayat ne giran-bari ki
Ghazal
ToD di usne wo zanjir hi dildari ki
Irfan Siddiqi