to hi na sune jab dil-e-nashad ki fariyaad
phir kis se karen hum teri be-dad ki fariyaad
teshe ki wo khaT-khaT ka na tha ghalghala yaro
ki ghaur to wo thi dil-e-farhad ki fariyaad
kal raat ko us shoKH ki ja kar pas-e-diwar
ek dard-e-faraham ne jo buniyaad ki fariyaad
sunte hi kaha us ne ki han dekho to us ja
kis ne ye bilakti hui ijad ki fariyaad
fariyaad 'nazir' aage hi us ke hai bahut KHub
wan dekhne ka dekhna fariyaad ki fariyaad
Ghazal
To hi na sune jab dil-e-nashad ki fariyaad
Nazeer Akbarabadi