اردو हिंदी
Titliyon ka rang ho ya jhumte baadal ka rang | Shaahi Shayari
titliyon ka rang ho ya jhumte baadal ka rang

Ghazal

Titliyon ka rang ho ya jhumte baadal ka rang

Qateel Shifai

;

titliyon ka rang ho ya jhumte baadal ka rang
hum ne har ek rang ko jaana tere aanchal ka rang

teri aankhon ki chamak hai ya sitaron ki ziya
raat ka hai ghup andhera ya tere kajal ka rang

dhaDkanon ke tal par wo haal apne dil ka hai
jaise gori ke thirakte panw mein pael ka rang

phenkna tum soch kar lafzon ka ye kaDwa gulal
phail jata hai kabhi sadiyon pe bhi ek pal ka rang

aah ye rangin mausam KHun ki barsat ka
chha raha hai aql par jazbaat ki halchal ka rang

ab to shabnam ka har ek moti hai kankar ki tarah
han usi gulshan pe chhaya tha kabhi maKHmal ka rang

phir rahe hain log hathon mein liye KHanjar khule
kuche kuche mein ab aata hai nazar maqtal ka rang

chaar jaanib jis ki ranai ke charche hain 'qatil'
jaane kab dekhenge hum us aane wali kal ka rang