titli qafas mein qaid-e-saba DhunDhti rahi
main shahr-e-nang mein bhi rida DhunDhti rahi
wo titliyon mein mast bahut mutmain sa tha
jis ko chaman mein meri sada DhunDhti rahi
rut ki tarah mizaj badal kar chala gaya
wo bewafa tha us mein wafa DhunDhti rahi
taKHt-e-munafiqat pe wahi hukmaran tha
bahr-e-KHulus jis ko sada DhunDhti rahi
josh-e-junun ke hath jise dan kar chuki
phir main zaruratan wo ana DhunDhti rahi
dil par lage jo zaKHm kahan mundamil hue
main shahr shahr phirti dawa DhunDhti rahi
basti mein ek bhi na wafadar mil saka
main dar-ba-dar bhaTakti wafa DhunDhti rahi
sail-e-bala bhanwar mein jahan chhoD kar gaya
main naKHuda ke sath KHuda DhunDhti rahi
diwar-e-dil se meri chura ke wo le gaya
jagmag si raushni wo diya DhunDhti rahi
meri hatheliyon pe rache zaKHm zaKHm rang
'bano' main in mein bu-e-hina DhunDhti rahi

Ghazal
Titli qafas mein qaid-e-saba DhunDhti rahi
Saima Naseem bano