اردو हिंदी
Tishna-kaamon ko yahan kaun subu deta hai | Shaahi Shayari
tishna-kaamon ko yahan kaun subu deta hai

Ghazal

Tishna-kaamon ko yahan kaun subu deta hai

Hasan Abidi

;

tishna-kaamon ko yahan kaun subu deta hai
gul ko bhi hath lagao to lahu deta hai

neshtar aur sahi kar-e-digar aur sahi
dil-e-sad-chaak agar izn-e-rafu deta hai

tab-e-fariyaad bhi de lazzat-e-bedad bhi de
dene wale jo mujhe soz-e-gulu deta hai

hum to barbaad hue barg-e-KHizan ki surat
shaKH-e-gul kaun tujhe zauq-e-numu deta hai

munsifo hath se ab dashna-o-KHanjar rakh do
kya bura hai agar insaf adu deta hai

ai KHudawand mere sher ki qimat kya hai
ek roTi ka niwala jise tu deta hai