teri ulfat mein jitni meri zillat baDhti jati hai
qasam hai rabb-e-izzat ki ki izzat baDhti jati hai
KHudaya KHair ho mamur-ha-e-rub miskin ki
ki ab dil khol kar rone ki aadat baDhti jati hai
kisi ko yaad kar ke ek din KHalwat mein roya tha
nahin malum kyun jab se nadamat baDhti jati hai
kahan taqat sunane ki kise fursat hai sunne ki
ki mujmal hote hote bhi hikayat baDhti jati hai
kahan main aur kahan teri nigah-e-lutf ai saqi
KHuda jaane ye kyun mujh par inayat baDhti jati hai
ye mera shisha-e-dil hai KHazaf-reza nahin hamdam
shikasta jis qadar hota hai qimat baDhti jati hai
idhar tahsin-e-araish ki KHwahish husn-e-KHud-bin ko
yahan jazbaat-e-pinhan ki hifazat baDhti jati hai
ghazab ka jazb hai 'wasif' nigah-e-mast mein us ki
manazil qata hote hain azimat baDhti jati hai

Ghazal
Teri ulfat mein jitni meri zillat baDhti jati hai
Wasif Dehlvi